Tuesday, 31 March 2015

Main mazdoor mujhe devon ki basti se kya?Aganit baar dharaa par maine swarg banaye!


Ambar par jitne taare, utane varshon se,Mere purkhon ne dharati ka roop sanwara,Dharati ko sundar karne ki mamta meBita chuka hai kai peedhiyaan vansh humara


Apne nahi abhaav mitaa paya jeeva bharPar auron ke sabhi abhaav mita sakta hun!Yugon yugon se in jjhonpadiyon me rahkar bhi,Auron ke hit laga hua hun mahal sajane!


Aise hi mere kitne saathi bhookhe reh,Lage huye hain auron ke hit anna ugaane!Itnaa samay nahi mujhko jeevan me miltaApani khaatir sukh ke kuch saaman jutaa luun!


Par mere hit unka bhi kartavya nahi kya?Meri baanhen jinke bharatin rahi khazane,Apne ghar ke andhkar ki mujhe na chinta,Maine to auron ke bujhte deep jalaaye!


Main majdoor mujhe devon ki basti se kya?Aganit baar dhara par maine swarg banaye!



0 comments:

Post a Comment